Blogger Blog Me Custom Template Kaise Upload Karte Hai Jane Hindi Me

Hello Dosto, aap ne to Blogger par apna Blogbhut hi aasani se bana liya hai. aur kai sare post bhi kar liya hai. ab ye janna chahte hai ke blogger blog me Template kaise upload kare. to chaliye aaj is article ki Madad se mai aapko yahi batane ja raha hun ke Blogspost Blogger par theme yani Template ko Kaise Upload Karte hai Karte hai.
upload Blogger custom theme
How To Upload Custom Theme Blogger


Internet Par Bahut Si Website Par Free Or Paid Dono Tarhe Ke Blogger Theme Available Hai Aap Chahe To Apni Manpasand Or Acchi Looking Theme Waha Se Download Kar Sakte Hai Or Use Design Bhi Kar Sakte Hai Apko Apni Theme Ko Design Karne Ke Liye Wedgets Bhi Google Par Search Karne Se Mil Jayenge.
Agar Apko Html Ke Thodi Bahut Jankari Hai To Ap Apni Theme Ke Coding Ko Bhi Edit Karke Theme Ko New Look De Sakte Hai.

Blogger Blog Me Template Kaise Upload Karte Hai

Blogger ne aapko kuch Themes pahle se hi free me Diya hai but wo theme jyada acche nhi Hai, Aur jaisa ki aap Jante hi hai ki Search Engine Optimization ke tarike badalte rahte Hai. To hame jarurat Hai Ek SEO Friendly ThemeHamare blog ke liye
Step 1:
Custom Theme Ko Blogger Par Upload Karne Ke Liye Sabse Pehle Apko Apne Blogger Me Login Karna Hai Or Apne Blog Ke Dashboard Me Jana Hai.

Step 2:
Apne Blogger Dashboard Me Jakar Apko Left Side Dikh Rahe Theme Ke Option Par Click Karna Hai.
Free Custom Theme

Step 3:
Uske bad aap top bar me Backup/Restore ka option dekh sakte hai. Backup/Restore ki button par click kare.
Blogger Blog Me Template Kaise Upload Karte hai Jane Hindi Me

Step 4:
Backup/Restore par click karne ke bad Ab ek popup window open hoga yaha aapko choose file ki button par click karna hai.
Download Custom Theme
Download Custom Theme

 Note: Agar aap apne blogger theme me pahle se kuch add kiya hua hai ya kuch changing kiya hua hai to aap iska Backup le sakte hai. Download Theme button par click karke apna current theme download kar sakte hai.
Step 5:
Theme Ko Download Karne Ke Baad Apko Choose File Par Click Karna Hai Or Apne New Custom Downloaded Theme ka file open karke use Fir Apko Use Select Karke Upload Par Click Karna Hai.
 Note: Jab Ap Koi Bhi Custom Theme Download Karte Hai To Wo Zip Ya Rar File Format Me Hoti Hai Apko Us Theme Ko Pehle WinRar Ki Madad Se Extract Karna Hai Fir Apko Usme .xml Ki Jo File Milegi Use Apko Upload Karna Hai.
Step 6:
XML file ko select karne ke baad aapko UploadButton par click karna hai.
Ab Aap dekh sakenge ki aapke blog ka look successfully change ho Chuka Hai.

Friends agar aapko hamara ye post pasand aaya to please Share Kijiye. Aur koi Question Ya Suggestion Hai To comment Kijiye.

0 Comments: